Monday, March 07, 2011

mahabharat

main bhi jab jeevan main kuch kar paane ko beetab ho gaya .. tab se kuch mera uska rista , badal sa gaya ..
kabhi wo mera , mahboob , baap .. masiha hota tha ..
ab wo mera malik .. huzoor aur koi dur wala ho gaya hain ..
ye jindagi ne sab le liya .. aur diya hain itna ahsas kuch na hone ka .
main ye sab di kar bhi bahut bhara bhara hota ..
yuin hum dono ab ye rista nibha rahe hain , main aah bharata huin to Kudha kahata huin .
aur usko jab meri yaad aati hain , zara aah meri taraf sarka deta hain ..
ab muskarana .. itna mulkil ho gaya hain , usko dekh kar , ki kasi usko samaj aa gayi to jane kya ho jaye ..
ek waqt tha , uske aage zuk kar bhi na zukne ka ahsas tha .. aur kuch mange ke liye Zukna jillat lagati thi ..
ek yug dekha hain . jab gutne zameen se uthe hi nahi ..
bas yu hi .. main ab bhi janta huin . usko .. us ladake ko , jiska passtime Kudha samajna tha .. jiski shaam kudha ka wasl tha ..
bas yahi yaad kisi din usse mujko mila bhi degi ..
yu to kuch kami nahi di .. magar jindagi nahi di ..
...chalo ab jis tahar ho ..
ye khal cod kar uth nahi sakata .. warna sab kho dunga ..
ye zua hain .. jaha sab lag jata hain ..
aap ja nahi sakte ..
bas ek hi tarika hain ..
ya to shakuni ban jao ..
ya vaanvashi ..
so ya to shakuni mil jayee ka Krishna..
warna aap ka is mahabharat main jeet pana muskil hain .
ek line kafi pahale likhi thi ..